Saturday 4 February 2012

Why make someone believe the thing that they don't believe?

You believe in something another person not, how right is this to make him believe by presenting facts that his friends, his ancestors believe in that thing? Will he ever follow your words?
Hame pata hai ki hamare granth ki kya mahanata hai, ved-vedanta, purana may aaj k so called science facts hazaron saal pahle se unme mauzood hain, ab unko siddh karne k liye kisi ANGREJ ka sahayata lena!
Ab aaj ka gayatri pariwar, inke kitab may har char line k baad ek angrej ka naam hai use pratipadit karne k liye. Tum us angrej ka naam leke khud ye keh rahe ho, bata rahe ho ki tumhe unpe sandeh hai.
Hum mante hai murti may bhagwan hai,
christian nahi mante unka kehna hai ki ye pathar hai, to thik hai, unhe mat manne do, ye hamara viswas hai, adig viswas, sampurna nistha, ab ise pratipadit karne ki kya awasyakta hai, wo nahi karte isiliye wo christian hain hum mante hain isiliye hum hindu. Ye kehna ki hamara ved granth mahan hain kyun ki max muller ne inki badai ki, bhai ye kya pagalpan hain?
Ek jagah hai israil, is desh k log sanivar ko pavitra mante hain, thora aur aage chirstian sunday, aur idhar muslim friday. Teen dharam, teeno yarusalem se nikle hue, ek hi jagah se 3 dharam phir bhi apni apni manyata, sabka scientific explanation. To unhe usme vishwas hai, jisme jisko viswas hua usne use maana.
Hame ved may vishwas hai, to usme nischai raho ise pratipadit karne ki koi awasyakta nahi hai mere bhai.
Zindagi may kabhi bhi kuch bhi maano use agar tum mante ho to use sidh karne ki awasyakta nahi. Itna hi kaafi hai ki TUM use maante ho.

No comments:

Post a Comment